SHYARI - 1

 

 Mere janaze main sab log nikle

 Sara shehar pichhe nikla

 Per vo hi nahi nikle

 Jinke liye mera janaza nikla.

 

 Log kahte hain ki hame aadat hain muskurane ki,

 Vo kya jane, Ye bhi ek ada hain gam chhupane ki

 

 Marne ka tere gam me Irada nahi,

 Hain Isqh, magar itna zyada bhi nahi.

 

 Tujko jis roz se dekha,

 Bas usi din se deewana hu.

 Kam se kam azmakar dekh,

 Main haqiqut hu, ya afsana hu.

 

 Ashiq marte nahi, jinda dafnaye jate hain

 Kabar khol kar dekho, to intzaar main paye jate hain

 Aayi thi meri kabar per, diya buzakar chali gayi

 Baki bacha tha tel, sar per laga kar chali gayi

 

 Har vaqt khushi nahi rehti, gam nahi rehta,

 Duniya main hamesha koi mausam nahi rehta

 Mil bhi jate hain, to katrakar nikal jate hain

 Hi! mausam ki tarah dost bhi badal jate hain.

 

 Hum aapke janamdin par dete hain yeh dua

 Hum aur tum milkar, honge kabhi na juda.

 Jivan bhar sath denge apna he ye vaada,

 Tuj par apni jaan bhi denge, apna he ye irada.

 

 Sukhi hain nadi, bhige hain kinare 

 Hum to zinda hain teri yadoo ke sahare

 

 karata hu REQUSET to REFUSE mat karna

 ON kiya hain dil ka BULB ise OFF mat karna

 Tere BEAUTY FACE ne mera GENTLE dil tod diya

 DARLING teri yaad me, maine NIGHT SLEEPING chhod diya

 Chand ko chandni pyari hai, esa raat kehti hain

 Hume aap pyaree hain, esa meri saheliya kehti hain

 Chand se pyari chandni, chandni se bhi pyari raat

 Rat se pyari zindgi, aur zindgi se bhi pyare aap.

 

 Attar ki shishi paththar se tod do

 Tere jesi ladki mile to main nokri bhi chhod do

 Aur  fir dusri mile to main tuje bhi chhod do

 

 Rait ki tarah mitti se fisal jate hain, ye sukhbhare pal,

 Hath main reh jati hain bas, rait ki chamkili chubhan.

 

 Kaate nahi kat te yeh jalwe intzaar ke

 Nazare jamaye bethe hain, raste pe yaar ke

 Dil ne kaha dekhe jo jalwe husna yaar ke

 Laya hain kaun inhe palko se utaarke

 

 Ye ful nahi, mere dil ka laho hain

 Deddy ye koi aur nahi, aapki honewali bahu hain

 

 Jawani jawani nahi, jisme rawani na ho

 Shadi shadi nahi, jisme prem kahani na ho

 Takdeer banane wale tune kami na ki

 Her kisi ko kya mila ye mukkader ki baat hain

 

 Badi muddat se mere dilme ek tasweer bethi hain

 Teri zulfo ki chhave main meri takdeer bethi hain

 

 Chandni chand se hoti hain, sitaro se nahi

 Mahobbat ek se hoti hain, Hazaro se nahi

 Chinti pahadpe chadhti hain, marne ke vaaste

 Ladkiya fashion karti hain, ladko ke vaaste

.

 

 

 

 

 

 SHYARI - 2

 

 Jinhe yakin hain ki, tu mere ghar na aayegi

 Khuda kar ki, vo bethe ho aur to aaye

 Zara si baat ka itna malal karte ho,

 Shikaate bhi vahi hain, jaha mohabbat hain

 

 Vaada bhi karke aaye na meri kabar par

 Hamne to jaan de di, Isi ekbar par

 

 Patti par gire shabnam, to patti nam nahi hoti

 Judai lakh ho lekin, mahobbat kam nahi hoti

 Badala rahe he dard ko dil ki lagi se ham

 Deewangi hami se he, aur deewanagi se ham

 

 Is pyaar ne sabko na jane kya kya bana diya

 Kisi ko aashik to kisi ko deewana bana diya

 Jis mumtaaz ne kabhi ful bhi uthaya natha aapne hatho se

 Us mumtaaz ko shahjaha ne tajmahal bana diya

 

 Jeena agar chaho to dur hi rehna

 Tum mom se bane ho ham aag se bane hain

 Gul se honsla sikho gam me muskurane ka

 Kaid he woh katon main fir bhi muskurata hain

 

 Chaman ko chaman ki baharon ne loota

 Shama ko shama ke pervano ne loota

 Tuje ek ne loota to ghabhra gayi

 Teri kasam tune to hazaro ko loota

 

 Kisi ki mithi bato per fisal jana nahi achha

 Fisal ker apne dil ka raaz batana nahi achha

 Jise tum raaz samjoge vo badnaam ker dega

 Har ek ko apne dil ka jaam pilana nahi achha

 

 Chalte hain to lagta hain ki sadiyo ka sath hain

 aur bichhadte hain to do din main bhula dete hain

 

 Zara halke se bata do aapka naam,

 Taki aa jaye dil ko aaram,

 Khamkha na karde hame badnam

 Ek easa dena muje inaam.

 Le chala jaan meri, ruth kar jana tera

 Ease aane se to behatar tha na jana tera.

 

 Ham bhi dariya hain, hame apna hunar maloom hain

 Jees taraf bhi chal padenge raasta ho jayenge

 Zulm hota tha to zanzeer hila dete the,

 Aaj to hoth heelane se bhi dar lagta hain

 

 Hum to dushman ko bhi shayishta saja dete hain

 Vaar nahi karte magar nazaro se gira dete hain.

 Ay khuda tere darbaar me main yahi duaa karta hu,

 Sada khush rakhna use jise main yaad karta hoo.

 

 Hotho pe hasi dekhi, andar nahi delha

 Aaj bhi aapne mere gam ka samander nahi dekha.

 Aane ke waqt tum kahi ke kahi rahe,

 Aab aaye to kya fayada jab ham hi nahi rahe

 

 Hamne jeesko chaha, usne hame na chaha

 Lekin usne chaha kisi aur ko

 Ham to khuda se yahi duaa karte hain

 Ki woh jeese chahe woh chahe kisi aur ko.

 

 Jab tak sansar me bhagwan rahega

 tab tak mere dil per tera naam rahega

 Koi baat dabi thi dilme jo aaj samne aayi

 Pyaar karti thi jis se usne hi mujse ki bewafai

 

 Pyaar karo kisise to ye janna jaroori hain

 Ki rahega vo vafadar umra bhar ya usme bhi majboori hain

 Kabhi muje lagta hain ki koi hamsafar hain mera

 Par koi nazar nahi aata tan ro padta hain dil mera

 

 

 SHYARI - 3

 

 

 Kuch kehta tha dil mera magar tune ye jana nahi

 Dil todkar chale gaye mera aur, ek aansoo bhi bahaya nahi.

 

 Tune mere pyaar ka kar diya apmaan

 Lekin yeh samaj lena tu tera pyaar bhi hoga itna hi badnaam

 

 Sine se lagkar ek baat kehna chahti hoo

 Uuhi lage raho sine se , tumse pyaar karna chahti hoo

 

 Pyaar ka diya jalaoge to pachhtaoge

 Matlab ki duniya hai bekar me loot jaoge

 

 Aati hain ease pyaar ki ghadi naseeb se

 Yeh dil ki dhadkan zara sun lo karib se

 

 Gam me bhi

 Kab jeena aaya muje

 Tumhare geet likhte

 Jeevan beet gaya.

 Akela chala nahi jata,

 Tumhare bina

 Kab jeena aaya muje!

 

 Woh Itna batade kabhi paas aake

 Meela hain kya unhe hame uh rulake

 

 Pani ka bandh hazaro ne milkar banaya

 Pyaar ka bandh sirf do ne milkar banaya

 

 Bolo!

 Kaun sa bandh majboot hain?

 Jo hazaro milkar banate hain

 Ya jo hazaro milkar todte hain?

 

 Teri aada ne mujko ghayal bana diya hain

 Deewano ki tarah muje shayar bana diya hain

 

 Khun hai mehboob ka mehndi me laga lena

 Shadi ho teri to maang me saja lena

 

 Sab kaate fekte hain

 Main kate batorta hoo

 Ki in kaato me se

 Ek bhi easa nikle

 Jo mera daman tham le.

 

 Deewano ki chitae

 Bhale hi jal gayi

 Par ve kabhi jale nahi

 Ek me hoo...

 Jo markar bhi

 Salo baad

 Aapni chita jalne ka

 Intzaar kar raha hoo.

 

 Dil tuje diya tha rakhne ko,

 Dil ko jalakar rakh diya.

 Kismat ne deke pyaar muje,

 Tadapne ko rakh diya

 

 Jamane ke hatho se chara nahi hain,

 Jamana hamara tumhara nahi hain.

 

 Woh dastan bhi kaho jisse dil dhadkte hain

 Ye aur baat hain ki isme kisi ka naam na lo.

 

 Maine chaha tha jise hasne hasane ke liye

 Usine chhoda hain muje thokare khane ke liye

 

 Dil tutne ki aawaz to nahi aati

 Hoti hain magar kuch aahat si

 Lagta hain koi mujse rooth gaya

 Lekin koi rishta banakar toot gaya

 

 Koi to hain meri zindgi me

 Magar takdeer sath nahi deti

 Aati hain mere sapno main

 Magar koi saugat nahi deti.

 

 Mera dil todke jaati ho mujse door

 Aayegi meri yaad vaha bhi tumhe jaroor

 Yaad aaye to chali aana mere paas

 Mera pyaar milega fir bhi tumhe huzur

 

 

 

More Shyari......

 

 

 Back......

 

Home | About me | My Photo Album | My Dreams | My Country | My State | My Dream Girl | My City | Personal Home PagesMy Favorite Links | Web rings | Poems | Sign Guest Book | View Guest Book |View my old Guest Book | Contact me |  Feedback

1