PAGE - 2
SHYARI - 4 |
Shbda
shbda ka antra, shbda shbda ka bhed
Ek shbda aushadh kare, ek shabda kare chhed
Kismat mujse ruth gayi hain
Dil ki tamanna e tut
gayi hain
Hay...Duniya ke mele me dekho
Mahobbat meri loot gayi hain
Do kadam chalke rah jaaye vo
Hamsafar kese ban shake
Pal-bhar me jo bhul sakte hain
Vo hamdam kese ban sake Kaun
na hoga tum par deewana
Pyaar bhari tasweer ho tum
Dil me chubhe vo teer ho tum
Chahatbhari tasweer ho tum
Diljalo ke dil pe khanjar chalana chhod do
Gir padegi bijaliya tum muskurana chhod do
Suna e gam ki kise kahani
Hame to apne sata rahe hain
Hamesha woh subho sham dil par
Sitam ke khanjar chala rahe hain
Duniya se jo dare use kayar kehte hain
Duniya jis se dare use shayar kehte hain
Bibi se jo dare use shohar kehte hain
Aur bhi chize bahut se loot chuki hain dil ke saath
Yeh bataya dosto ne, ishq farmane ke baad
Is liye kamre ki ek , ek chize check karta hoo main Ek tere aane se pehle, ek tere
aane ke baad
Jab kehta tha aao to aate na the
Bin kahe aab bar bar aane lage
Ya khbhi woh berukhi, ya ye karam Saath aab bachcho ko bhi lane
lage
Main unki galiyo me
gaya aur kaha, dil se dil mila lo
Par jab unke baap ko dekha to kaha, bartan kalayi kara lo
Milte hi najare dil
diya nahi jata
Aawaz ko anjaam banaya nahi jata
Dawa bhi kaam na aaye, koi dua na lage
Mere khuda kisi ko, pyaar ki hava na lage
Kuch majnoo bane, kuch ranja bane
Kuch romio, kuch farhad bane
Is Ishq ke chakkar me na jane kitne barbaad hue
Ye mandeer nahi hai, shiwala nahi hain
Hasino se kehdo kahi aur jaaye
Mera dil hain dil dharamshala nahi hain
Phool khilte hain baharo ka sama hota hain
Aese mosam me hi to pyaar jawa hota hain
Dil ki baato ko hotho se nahi kehte
Ye fasana to aankho se baya hota hain
Jis sham mere lab par tera naam na aaye
Allah kare easi koi sham na aaye
Ae jan - e - wafa ye kabhi munkeen hi nahi
Aafsana likhu aur tera naam na aaye
Kahi sher - o - nagma bankar
Kahi aanso o me dhalkar
Woh mile hain har jagah par
Kayi surate badalkar
Waqt to do katheen guzare hain umra me
Ek tere aane se pehle, ek tere aane ke baad
Ik fursat -e - gunah mili woh bhi char din
Dekhe hain ham ne hosle parwardeegar ke
Umr -e - daraz mang kar laye the char din
Do aarzoo me kat gayem do intzaar me
Yeh mana zindgi hain char din ki
Bahot hote he yaaro char din bhi
Jara dekh parwane karwat badal kar
Sati ho gayi shama mehfil me jalkar
Kaun aayega yaha kiski raah dekhe ha,
Jinki aahate suni, jane kiske the kadam!
|
SHYARI - 5 |
Dil
ka afsana sunate hain sunane wale
Kash samje the mahobbat ko mitane
wale
Pyaar ka naam bhi lete hue dar
lagta hain
Teer khinche hue bethe hain zamane
wale
Yaad
aate hi tadap jati hu
Chain
ek pal bhi nahi pati hu
Aansoo aa jate hain kabhi aankh me
To koi gamgeen geet gaati hu
Har kyo ka jaawab nahi hota
Har hushna lajawab nahi hota
Yu
bhawra to har kali pe marta hain
Par
har kali pe shabab nahi hota
Raaze dil jo khula nahi hota
Pyaar ka hosla nahi hota
Rah majbooru ye badalti hain
Aadmi
khud boora nahi hota
Aap hamse juda to rehte hain
Aapse
dil juda nahi hota
Hushna ka ekbaar kya hain magar Har
koi bewafa nahi hota
Pehle to roj mila karti thi tum
chheep - chheep kar
Aab he ye haal ki khat tak se
mulakat nahi
Raat ke khwab sunati thi jeese tum
din me
Usse kehne ko tumhe aaj koi baat
nahi
Pyaar
insaniyat ka zevar hain
Pyaar
se muh na modiye sahab
Dil haqiqut me khuda ka ghar hain Khuda
ka ghar na todiye sahab
Tum samjate ho ye banawat hain
Tum samjate ho muje pyaar nahi
Suna siwa is zamane me Aur
koi bhi mera yaar nahi
Aap
ko dil me basa rakha hain
Sari
duniya ko bhula rakha hain
Aapki yaad ka aapne dil me Mene
ek deep jala rakha hain
Kahi sochte hain ye raat dhal na
jaaye
Kahi chand choop na jaye suraj
nikal na jaaye
Ye raat hain milan ki, lag jao mere
sine se Aaya
hua ye mauka karwat badal na jaaye
Saat ohere ke bhandhan me bhandhkar
tuje
Aapne sajan ki baho me aana pada
Tere chehre se julf jara hat gayi Raat
bhar chand ko muh chhupana pada
Tumko
chaha magar chahat na mili
Bewafa
tumse mahobbat na mili
Hushna
baksha hain tuje malik ne Par
tuje pyaar ki daulat na mili
Char din ki he jindgi isme aati
hain jawani
Maza le lo is ghadi ka kyoki ye he
behta pani
Mahobbat lo pane ke liye motka
Mukabala
karti hain nari
Is liye to sare sansaar ko
Pyaari
lagti hain nari
Phoolo ke jese mahakta badan Unhe
maloom nahi ye kesi he agan
Phoolo se bhara he ye chaman
Muje
lagi hain aab teri hi lagan
Tum hame sabak sikhane aayi ho Ham
jamane ko sabak sikhate hain
Tum ek kali khilabe aayi ho
Ham gulshan ko khilate aaye ho
Teri tasweer me ye baat tujse bhi
nirali hain Ki
jitna chaho chum lo na gussa hain na gali hain
Bane
chahe dushman jamana hamara
Salamar
rahe dostana hamara
Na bichhdenge marke bhi ham dosto
Hame
dosto ki kasam dosto
Pata koi puchhe to kehte he ham
Ek duje ke dil me rehte hain ham
Nahi
aur koi thikana hamara Salamat
rahe dostana hamara
Shamil nahi hain jisme teri
muskurahat
Woh zindgi kisi bhi jahannoom se
kam nahi
|
SHYARI - 6 |
Chiththi likhi
hain khoon se, shahi mat samajana Marti hoo teri yaad main, zinda mat
samjana
Eay khuda ye teri kesi hain khudai.
Ek din ka milan aur so din ki judaai
Muje tere pyaar ne shayar bana diya
Phirta tha bekar muje dildar bana diya
Meri wafa, meri kasam pe ekbaar kar
Milan ki raat aayegi, thoda sa intzaar kar
Eay barish tu itni na baras ke vo aa na sake
Unke aane ke baad itni baras ke vo ja na sake
Tufan main baha hain,
na sholo main jala hain
Ghayal hua teero se, na khanjar se kata hain
Kehte hain jeese Ishq, kyamat hain bala hain
Jo bhi takraya isse vo duniya se meeta hain
Pyaar ne tere hamko kahika na chhoda
Aabad hone chale the barbaad karke chhoda
Tumne jabse muje muje
bhulaya hain
Maine shahi se dil
lagaya hain
Kaam mera sharab peena hain
Aab to pee pee ke gam bhulana hain
Jab nasha khub chadha hota hain
Gam door ja khada hota hain
Hosh me aate hi gam satata hain
Teri bewafai pe hamko hasna aata hain
Saat fere lene ke mere sang sapne dekh rahi hain
Khili hui dhoop me
taare dekh rahi hain
Man hi man jana ham tum pe marte hain
Pyaar to theek hain par shadi se darte hain
Shadi ke pehle to sab achcha lagta hain
Baad me phir sari
umra rona padta hain
Tum raho salamat,
Tumhari duniya rahe salamat
Main rahu na rahu,
Mera pyaar tumhe mubarak
Woh dil nahi jis dil
me jamane ka gam nahi
Aansoo kisi shayar ke bhi moti o se gam nahi
Choot jaye gam ke hatho se, jo nikle dam kahi
Khak easi zindig par,
tum kahi aur hum kahi
Pyaar Pyaar mat kar, Pyaar ek din mil jayega
Kachchi kali ko mat tod, phool ek din khil jayega
Zindgi ki khasiyat hain ye kabhi rukti nahi
Sanse ruk jati hain
magar zindgi rukti nahi
Do me jo tisra hain
Woh aankho main thikra hain
Jalan hoti hain ye dil ko uski
Khusnasib hain ye pawan
Jo sada lehrate hain
masti me
Chum bhi le nadi ka
badan
Gala ghont diya meri
mahobbat ka
Tumne aapni amiri par
Ye dolat bhi saath na dengi
Tab tarsoge hamari
garibi par
Dali se phool tuta to mit nahi jaata
Sare jaha ki thokare sehni padti hain
Dil tuta to mahobbat mit nahi jati
Haste hue har chot khani padi hain
Khake thokar na kayar ban saka
Likhke shayri na shayar ban saka
Uthai kisi ne arthi mere khwabo ki
Bin bichhde tera yaar bhi na ban saka
Taaj hamko chahiye na rajdhani chahiye
Na hame raja se
matlab hain na rani chahiye
Sano saukat chahiye na hukam ki rani chahiye
Teri deewani ko teri nishani chahiye
Mithi baato main, Inki tum aana nahi
Inki chalo ka koi thikana nahi
Lake majdhar pe chhod dete hain ye
Ishq walo ka koi bharosa nahi
Pyaar karne wale kabhi sharmate nahi Chhote chhote gam aa jaye to ghabhrate nahi
|
SHYARI - 7 |
Kuch khabar
nahi muje apne aapki
Pyaar ka aisa rang
chadha hain
Ki kho gayi me aankho main aapki
Kabhi teri yaado me kho jaati hoo
To kabhi woh pyaar yaad aata hain
Magar jab tu samne
nahi aata
To dil phir udas ho jaata hain
O bewafa sanam mere dil ke itne tukde mat karo
Ki ginte ginte main ginti hi bhool jaoo
Tere dil me hoti
thodi si jaga agar
Banati me usme apna
ghar
Per basa tha koi aur dil me tere
Isi liye tune mere liye banayi kabar
Pyaar ka matlab tu kya janega
Tuje to uski kadar nahi maloom
Jo karta hain kisi se
pyaar usko jake puch
Kya hota hain pyaar ka zanoon
Kash tu mujse do baat kar le
Agar mere liye pyaar hain to izhaar kar le Lekin lagta hain tuje mujse pyaar nahi
Izhaar nahi to kam se kam Inkaar to kar le
Tere pyaar ne muje ek
sabak sikha diya hain
Aashiq nahi to kam se kam shayar bana diya hain
Mere anjam ko dekhkar tum na dil lagana
Dil lagao agar to mera anjam bhool na jana
Hamne usse mangi thi
thodi si mohabbat
Hamari mahobbat ke badle main
Lekin gam aur dard vo de gayi
Muje meri chahat ke badle main
Mahobbat ki duniya main hame ek aisa lamha mila hain
Jisme koi khushi nahi, sirf gam hi gam mila hain
Pyaar he ye khel nahi bachchoka
Tel nikal jata hain
isme achhe-achho ka
Kabhi kabhi dil ko mere karar aa jata hain
Paas woh nahi hote magar khayal to aa jata hain
Deewani banayi hain jisne muje
Usike naam mere hotho par aa jata hain
Aaj nikla phir se ek
sabera hain
Ghar ghar diwali hain mere ghar andhera hain
Pyaar ne tere mujko ye ahesas dilaya hain
Ki pyaar ek dhoka hain jisne aashiko ko sirf rulaya hain
Kyo banati ho preet ke ye mahel
Jeese ek din khud mitaogi tum
Aaj kehti ho is diljale se pyaar hain tumhe
Kal mera naam tak bhul jaogi tum
Palat ke dekhte hi, tere dil ka nishana tha
Vahi per to mere dil ka aashiyana tha
Pahoch rahi thi kinare pe kasti ye mahobbat ki
Usi waqt ye toofan ko bhi aana tha
Mahaobbat karega jo vo rota rahega
Yahi hota raha hain,
aur yahi hota rahega
Sham ke baar sabera hota hain
Sab ke paas koi na koi hota hain
Ek akela rehta hain hamesha
Jo bas aansoo o me hi dooba rehta hain
Sabko apna apna ek yaar mil jaye
Jo pyaar se parichit
nahi unhe pyaar mil jayee
Bas mere liye tum ye
dua karna yaaro
Ki muje bhi apna vo bichhda hua dildar mil jayee
Bewafai par uski hamne ek kitab likh dali
Kagaz ke is panne per hamne apni prem-kahani likh dali
Khuda teri zindgi me khushiyo ki bahar de
Muje chod ke chal dene vale
Khuda tuje mujse bhi achha dildar de
Aankho se aankhe mili ikraar ho gaya
Kisi ki yaad aaye to samjo pyaar ho gaya . |
Home | About me | My Photo Album | My Dreams | My Country | My State | My Dream Girl | My City | Personal Home Pages | My Favorite Links | Web rings | Poems | Sign Guest Book | View Guest Book |View my old Guest Book | Contact me | Feedback
|