MANZIL
 
#1

Woh Aatay Thay Ek Nazar Milaatay Thay Aur Chalay Jaatay Thay
Aur Hum Ko Shush O Panj Chhor Chalay Jaatay Thay
  
Hamay'n Armaan Awaaz Sunnay Ka Unhay Bus Nazr Milnay Ka
Un Kay Peechhay Mein Bari Guthhiyaan Suljhaatay Thay
  
Ek Pal Mein Aankhon Say Kiya Kiya Keh Jaatay Thay Woh
Aur Kabhi Samjhaanay Kee Koshish Na Kartay Thay
  
Jehaan Main Jaaoon Maujood Wahan Woh
Door Door Rah Kar Woh Hamay'n Bus Dekha Kartay Thay
  
Thaan Lee Ek Mehfil Mein Guftugu Kee Hum Nay
Iraada Kar Kar Kay Dar Say Jaaya Kartay Thay
  
Aankhon Kay Saamnay Manzil Shamim Itni Jaldi Kiyoon
Qadam Aagay Barha Kar Bhee Peechay Hut Jaaya Kartay Thay


#2

Duniya Ne Jo Chaaha Woh Kiya Humney
Aur Bohat Door Manzil Rah Gayee
  
Hum Ghalat Raahon Mein Kho Gaye
Ab In Baaton Mein Hai Rakkha Kiya
  
Ab Piyar Bharey Safr
Aur Suhaani Manzil Ki Yaad Kiyoon Aaye


#3

Bohat Dair Hogayee Hum Manzil Ki Talash Main Gum Huey
In Gumnaam Rahon Say Hum Nay Karliyay Hain Rishtay Waabastay
  
Kitney Aansoo Bahaaoon Kay Safr Poora Na Hua
Ab Yoon Hai Kay Chiraagh Saamney Aayen
Magar In Kay Sung Hum Na Jaa Paayay


#4

Manzil Bohat Hee Dur Hai
Hai Rasta Andhera Kiya Jaayen
  
Bohat Dur Roshni Hai
Kahin Ham Bhatak Na Jaayen
  
Koyee Aur Hamsafar Na
Ek Saathi Dhoond Laayen
  
Woh Kahan Hain Humko Miltay
Dhoond Kar Rose Thak To Jaayen
  
Aye Shamim Chal Hi Par Tu Shaayed
Kuch Qaaflay Takra Hee Jaayen
     











1