INTIZAAR
 
#1

Aye Merey Hamsafar Aaja Kay Intizaar Ki Had Hai
Tum Jab Aatay Ho Saath Bahaar Laatay Ho
Aur Jaatay Ho To Khaza'n Chhaa Jaati Hai
  
Mehfilo'n Mein Nazr Jab Aatay Ho
Hont Laraz Jaatay Hain Dharkan Tez Ho Jaati Hai
  
Khel Pasand Nahin Hamen Yeh Oojhal Honay Ka
Shikaayet Nahin Kar Paatay Hum, Mulaaqaat Jab Hoti Hai


#2

Bund Baithay Khirki Say Kartay Hain Nazara Bahaar Ka
Bahaaray'n To Aagayeen Waapsi Magar Aapki Na Huee
  
Wada Kiya Tha Tum Bin Na Guzaaray'n Gay'n Bahaar
Kartay Rahay Intizaar Waada Khilaafi Na Huee
  
Har Ek Kali Har Ek Phool Poochhti Hai Pata Aapka
Ayesa Bhi Kiya Kay Mulaaqaat Hawao'n Say Na Huee
  
Kum Say Kum Khat Mein To Mil Jaata Ek Nazaara Aapka
Umr Guzr Gayee Koyee Khat O Kitaabat Na Huee
  
Martay Dum Tak Dhoonday Gee Nazray Shamim
Aur Hogee Shikaayet Kay Qurbat Na Huee
     
Previous Home Next


















1