Song:
Mere Dushman Mere Bhai
Film: BORDER
Starring:
Sunny Deol, Akshay Khanna, Sunil Shetty, Jackie Schroff, Pooja Bhatt, Tabu
& Rakhee
Director:
J.P. Dutta
Producer:
J.P. Dutta
Music:
Anu Malik
Lyrics:
Javed Akhtar
Singers:
Hariharan & Chorus
Hariharan:
Jang To Chand Roz Hoti Hai
Jang To Chand Roz Hoti Hai
Zindagi Barsoon Talak Roti Hai...
Sanaatey Ki Gehri Chaon
Khamoshi Se Jalte Gaon
Ye Nadiyoon Par Tootey Huey Pul
Dharti Ghayal Aur Viyakul
Ye Khet Bamoon Se Jhulse Huey
Ye Khali Raste Sehmey Huey
Ye Maatam Karta Saara Samaa
Ye Jalte Ghar Ye Kaala Duan
Ye Jalte Ghar Ye Kaala Duan
O O O, O O O
Mere Dushman, Mere Bhai, Mere Humsayee
Mere Dushman, Mere Bhai, Mere Humsayee
Mujhse Tujhse Hum Dono Se
Ye Jalte Ghar Kuch Kehte Hain
Barbadi Ke Saare Manzhar Kuch Kehte Hain
Haye, Mere Dushman, Mere Bhai Mere Humsayee
O O O, O O O...
Barood Se Bojhal Saari Fizaa
Hai Maut Ki Bu Phelati Hawa
Zakhmoon Pe Hai Chayee Laachari
Galiyoon Mein Hai Phirti Bimari
Ye Marte Bacche Haaton Mein
Ye Maaon Ka Rona Raaton Mein
Murda Basti Murda Hai Nagar
Chehre Patthar Hain Dil Patthar
Chehre Patthar Hain Dil Patthar
O O O, O O O
Mere Dushman, Mere Bhai, Mere Humsayee
Mere Dushman, Mere Bhai, Mere Humsayee
Mujhse Tujhse Hum Dono Se
Sun Ye Patthar Kuch Kehte Hain
Barbadi Ke Saare Manzhar Kuch Kehte Hain
Haye, Mere Dushman, Mere Bhai Mere Humsayee
O O O, O O O...
Mere Dushman, Mere Bhai, Mere Humsayee
Chehroon Ke, Dilon Ke, Ye Patthar Ye Jalte Ghar
Barbadi Ke Saare Manzhar
Sabh Mere Nagar
Sabh Tere Nagar
Ye Kehte Hain
Is Sarhad Par Phulkaarega Kab Tak Nafrat Ka Ye Ajgar
Kab Tak Nafrat Ka Ye Ajgar
Is Sarhad Par Phulkaarega Kab Tak Nafrat Ka Ye Ajgar
Kab Tak Nafrat Ka Ye Ajgar
Hum Apne Apne Khetoon Mein
Gaihoon Ki Jagaa, Chanval Ki Jagaa
Ye Bandookein Kyoon Botein Hain
Jab Dono Hi Ki Galiyoon Mein
Kuch Bhookay Bachche Rootein Hain
Kuch Bhookay Bachche Rootein Hain
Aa Khayein Kasam
Abh Jung Nahin Hone Payein
Aa Khayein Kasam
Abh Jung Nahin Hone Payein
Aur Us Din Ka Rasta Dekhein
Jab Khil Uththey Tera Bhi Chaman
Jab Khil Uththey Mera Bhi Chaman
Tera Bhi Vatan Mera Bhi Vatan
Mera Bhi Vatan Tera Bhi Vatan
Tera Bhi Vatan Mera Bhi Vatan
O O O, O O O
Mere Dost, Mere Bhai, Mere Humsayee
Mere Dost, Mere Bhai, Mere Humsayee
O O O, O O O
C:
Aa Aa Aa, Aa Aa Aa, Aa Aa Aa Aa
Aa Aa Aa, Aa Aa Aa, Aa Aa Aa Aa
Aa Aa Aa, Aa Aa Aa...

© Copyright 1999 amathur@geocities.com