Song: Ke Ghar Kab Aaoge
Film: BORDER
Starring: Sunny Deol, Akshay Khanna, Sunil Shetty, Jackie Schroff, Pooja Bhatt, Tabu & Rakhee

Director: J.P. Dutta

Producer: J.P. Dutta

Music: Anu Malik

Lyrics: Javed Akhtar

Singers: Sonu Nigam, Roopkumar Rathod & Chorus



Chorus:
O O O, O O O O
O O O, O O O O
O O O, O O O O
O O O, O O O O

Sonu:
Sandesay Aate Hain
Humein Tadpate Hain
To Chhithi Aati Hai
Woh Pooche Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kabh Aaoge
Ke Tum Bin Ye Ghar
Soona Soona Hai

Roopkumar:
Sandesay Aate Hain
Humein Tadpate Hain
To Chhithi Aati Hai
Woh Pooche Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kabh Aaoge
Ke Tum Bin Ye Ghar
Soona Soona Hai...

Sonu:
Kisi Dilwali Ne
Kisi Matwali Ne
Humein Khatt Likha Hai
Ye Humse Poocha Hai

Roopkumar:
Kisi Ki Saanson Ne
Kisi Ki Dhadkan Ne
Kisi Ki Choodi Ne
Kisi Ke Kangan Ne

Sonu:
Kisi Ke Kajre Ne
Kisi Ke Gajre Ne
Mehekti Subhoon Ne
Machalti Shaamon Ne

Roopkumar:
Akeli Raaton Ne
Adhuri Baaton Ne
Tarasti Baahon Ne

Sonu:
Aur Poocha Hai Tarsi Nigahoon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kabh Aaoge

Roopkumar:
Ke Tum Bin Ye Dil
Soona Soona Hai

Chorus:
Sandesay Aate Hain
Humein Tadpate Hain
To Chhithi Aati Hai
Woh Pooche Jaati Hai

Sonu:
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kabh Aaoge

Roopkumar:
Ke Tum Bin Ye Ghar
Soona Soona Hai...

Mohabbat Waalon Ne
Humare Yaaron Ne
Humein Ye Likhaa Hai
Ke Humse Poocha Hai

Sonu:
Humare Gaon Ne
Aam Ki Chaaon Ne
Purane Peepal Ne
Baraste Baadal Ne

Roopkumar:
Khet Khaliyanon Ne
Hare Maidanon Ne
Basanti Bailoon Ne
Jhoomti Bailoon Ne

Sonu:
Lachakte Jhoolon Ne
Bahakte Phoolon Ne
Chatakti Kaliyoon Ne

Roopkumar:
Aur Poocha Hai Gaon Ki Galiyoon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kabh Aaoge

Sonu:
Ke Tum Bin Gaon
Soona Soona Hai

Chorus:
Sandesay Aate Hain
Humein Tadpate Hain
To Chhithi Aati Hai
Woh Pooche Jaati Hai

Roopkumar:
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kabh Aaoge

Sonu:
Ke Tum Bin Ye Ghar
Soona Soona Hai

Chorus:
O O O, O O O O
O O O, O O O O
O O O, O O O O
O O O, O O O O

O O O, O O O O
O O O, O O O O
O O O, O O O O
O O O, O O O O...

Sonu:
Kabhi Ek Mamta Ki
Pyaar Ki Ganga Ki
Woh Chhithi Aati Hai
Saath Woh Laati Hai

Roopkumar:
Mere Din Bachpan Ke
Khel Woh Aangan Ke
Woh Saaya Aanchal Ka
Woh Tikaa Kajal Ka

Sonu:
Woh Lori Raaton Mein
Woh Narmi Haaton Mein
Woh Chaahat Aankhon Mein
Woh Chintaa Baaton Mein

Roopkumar:
Bigadna Uppar Se
Mohabbat Andar Se
Kare Woh Devi Maa

Sonu:
Ye Hi Har Khatt Mein Pooche Meri Maa
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kabh Aaoge

Roopkumar:
Ke Tum Bin Aangan
Soona Soona Hai

Chorus:
Sandesay Aate Hain
Humein Tadpate Hain
To Chhithi Aati Hai
Woh Pooche Jaati Hai

Sonu:
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kabh Aaoge

Roopkumar:
Ke Tum Bin Ye Ghar
Soona Soona Hai...

Sonu:
Aye Guzarne Waali Hawa Bataa
Mera Itna Kaam Karegi Kya
Mere Gaon Jaa
Mere Doston Ko Salaam De

Roopkumar:
Mere Gaon Mein Hai Jo Woh Gali
Jahan Rehti Hai Meri Dilruba
Use Mere Pyaar Ka Jaam De
Use Mere Pyaar Ka Jaam De

Sonu:
Wahin Thodi Door Hai Ghar Mera
Mere Ghar Mein Hai Meri Boohdi Maa
Meri Maa Ke Pairon Ko Choo Ke Tu
Use Uske Baitey Ka Naam De

Roopkumar:
Aye Guzarne Waali Hawa Zara
Mere Doston, Meri Dilruba, Meri Maa
Ko Mera Payaam De
Unhe Jaa Ke Tu Ye Payaam De

Sonu:
Main Waapas Aaonga
Main Waapas Aaonga

Roopkumar:
Phir Apne Gaon Mein
Kisi Ki Chaoon Mein

Sonu:
Ki Maa Ke Aanchal Se
Gaon Ke Peepal Se
Kisi Ke Kajal Se

Roopkumar:
Kiya Jo Vaada Tha
Woh Nibhaoonga

Chorus:
Main Ek Din Aoonga
Main Ek Din Aoonga
Main Ek Din Aoonga
Main Ek Din Aoonga
Main Ek Din Aoonga
Main Ek Din Aoonga
Main Ek Din Aoonga
Main Ek Din Aoonga...
 


GeoCities

GO BACK


GeoCities

HOME



GeoCities
E-Mail Me

© Copyright 1999 amathur@geocities.com

1