Urdu Musha'era
Har roz ka aik she’r
ye masal-e-tasarruf ye tera Bunain Ghalib
jo eid par bhi na dhota to zalil-o-khwar ota
yeh kasa hua langota, ye phati bunain Ghalib
tujhe ham quli samajhte jo kamar pe bhar hota
ye na thaa amaara qismat ke wisal-e-yaar ota
agar aur geeti rehta, yahi intazaar ota
tume(n) kia kahoo(n) ke kia hey, mera begum buri bla hey,
o kho tum ko bhi dikhata, jo na parda dar ota....
*************************************
Naqli:
Aik Dulhan ne ye rotay hooay Dulha se kaha
Deeda ikk aankh ka sartaj mera naqli hay
hans kay Dulhe ne kaha gham ki koi bat nahee
Heera ungli me tumhara bhi kaha(n) asli hay.
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *
Adhoora:
wo loge bohat khush qismat thay
jo ishq ko kaam samajhtay thay,
ya kaam say aashiqi kartay thay
ham jeet-e-jee masroof rahay
kuch ishq kia, kuch kaam kia
kaam ishq kay aary aata raha,
aur ishq say kaam ulajhta raha,
aakhir tung aakar hum nay
dono(n) ko adhoora chor dia..........!!!
jeete jee ham marte kiun
ishq bhla ham karte kiun
har dam ahen bharte kiun
eik hi hamne kaam kia hey
subho kia hey shaam kia hey
ya´ny bass aaram kia hey
kuchh na adhoora chhora me´ne
bass neend se nata jora me´ne
*************************************
In response to: Phoonkna to hum jante nahi(n), par how about Thookna....???...........:-)
Na ji na !
Thooko(n) se ye chragh bujhaya na ja’e ga
Abb Sha’er kisi trah se bhgaya na ja’e ga
nazm te houn aawe hi aawe.
PHOO(N)KNI (by Max)
jabb neelay aasma(n) ke talay zindagi sehn me guzarti thi
aor insan ka bechhona uske khuda ki dharti thi
rat ko gharr ke aangen me charpai jabb bechhatte thay
to aasman ke setaro(n) ko bilkul na door pate thay
zmeen-o-aasman se nata sabhee ka sachcha tha
zindagi ke dinn thay wohi me(n) agarrcheh bachcha tha
meri maa(n) gharr ke aangen me jabb rotia(n) pkati thi
pehle matti ke aik choolhe me wo lakria(n) bechati thi
phoo(n)kni le ke apne hatho(n) me(n) mou(n)h se phirr lgati thi
aakhirr chandd aik phoo(n)ko(n) se aag jall hi jati thi
abb kise pta keh phoo(n)kni me kaise phoo(n)ka jata he
haa(n) sabhee jante he(n) keh kese thooka jata he
*************************************
SEYASI LEADER (By Max)
Qaom ke ghamm me "dinner" khate he(n) hukkam ke sath
Ranjj "Leader" ko bohot he(n) magar aaram ke sath
(Akbar Alahabadi)
Iss she´r se muta´ssir hokar mabadaolat ne bhi "sarhe chaar" she´r kahe hain
agar kisi ne "phook" di to foran paish kar diye jaen ge.
(A little phoonk was provided, as described in the previous section, and the results areJ
Mere "leader" tujhe logo(n) ne jabb bhee socha
Tujjh ko tamseel kiya he ghamo-aalam ke sath
"Laam" "leader" ka ho "Lotay" ka ho ya "Loot" ka ho
Sabb ko ma'loom he mukhlis he tou iss"Laam"(ISLAM) ke sath
Sabiqa "badd" ka lga jabb se tere naam ke sath
Zikr logo(n) me hua zillato-dushnam ke sath
Wo bhee "Leader"tha jise kehtay he(n) "Qaid-e-Aazam"
Zikr uska to bohot hota he ikram ke sath
Toune fursat me kabhee socha he ye farq he kiyoo(n)?
????????????????????????????????????????????
Note! The word "Lotta" here refers to corrupt political leaders because
they can be used by others for their needs. This meaning of Lotta is
consistent with its common use in Pakistani media.
More nazams by Max coming soon ……..