Mazaheya Shaerey
 

 KUNWARA ISHQ    ...    MODREN ISHQ    ...    AALA TALEEM    ...    MAMOON    ...    BIWI KI KABAR    ...    TAKALUF    ...    PATAKHA    ...    AARZOO    ...    PEGAME AMAL    ...    HAM BI AADMI THE KAAM KE!!    ...    SHAERE MASHRIK    ...    NAMKEEN GAZAL    ...    PYAAR MEIN DHOKA SERIES    ...    TOTAL NONSENSE  SERIES    ...    DOOR SE DEKHA SERIES    ...    AD SERIES

KUNWARA ISHQ 

Husn kehta tha janab ishq ab shadi karo
Ishq kehta tha ke shadi ki masibat se daro

Tang aa kar husn bola hae!! hae!!
Kya zarorat hea ke jis dam moot aae
Apne walid ki tarhan tum bi kunware hi maro......



MODREN ISHQ
 

Aur bi chezee bohat si lut choki hain dil ke saat
Yee bataea dooston ne ishq fermane ke baad

Is lyae kamre ki ik ik cheez check karta hoon
"Ik tere aane se pehle ik tere jane ke baad"



AALA TALEEM
 

Taleem pane aya ta main is kyal se
Shaed mera shamar ho ahele kamal mean

Kya kahee kase guzre hain London ke chaar din
Do factory mean kaat gae do hasptal mean 



MAMOON
 

Nakam muhaabat ka har ik dookh sehna
Har haal mean anjam se darte rehna

kudrat ka bada anjam hea
Mehbooba ki aulad ka "Mamoon" kehna



BIWI KI KABAR
 

Meri biwi kabar mean leati hea jin eyam(days) se
Wo bi hain aaram se aur
Main bi hoon aaram se



TAKALUF
 

Peesh kya lakit to farmaea
Ye to muj se bi khuob surat hea

Jab dya dil to boleen rehne do
Is takaluf ki kya zarorat hea



PATAKHA
 

Agra che pura muslima to nahin hoon lakin
Main apne deen se to rishta jood sakta hoon

Namaz,Roza,Hajj,Zokat kuch na sahi
Shab barat pataka to chood sakta hoon



AARZOO
 

Rang kushbo Galab de muj ko
Is dooa mean ajab asar aya

Main ne phoolo ki aarzoo ki thi
Aankh mean motia itar aya!!!



PEGAME AMAL
 

Ratka waqt hea aur masjid bi karib
Autheye ke pegame amal laea hoon

Gaar mean hean phil haal jitne bi purane joote
Aap bi ja ke badal leen mean bi badal aya hoon



HAM BI AADMI THE KAAM KE!!
 

Jin ke bachoo ki ho gaar mean ake team
Cheen mean hain mustahiq Anam ke

Kasrate aulad ne mara hamko
Warna "HUM BI AADMI THE KAAM KE"



SHAERE MASHRIK    (Allam Iqbal)
 

Ik muhibe shaere mashrik se main ne kaha
Kuch to farmahen hazoor Iqbal ke hawal mean

Bole Allama sebas itni si nisbaat hea mujhe
Main ne banwali hea kothi gulshane iqbal mean



NAMKEEN GAZAL
 

Main shakar hoon kisi Aur ka muje marta koi aur hea
Muje jis ne bakri bana dia wo to behdia koi aur hea

Muje chakroon mean pansa dya muje ishq ne to rula dia
Main mang ti kisi aur ki muje mangta koi aur hea

Jo garaj te hea wo baras te hoon  kabhi aesa hamne suna nahin
Yenha boonkta koi aur hea yenha kat ta koi aur hea



PYAAR MEIN DHOKA SERIES : 
 

Maine tujhe so-so khat likhe,
tu ne kisi ka bhi jawab nahi diya;
kahin tere dil mein raddi ki tokri tho nahi?

Maine tumhare yaadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itney be-wafa niklay ki nahaa ke chal diyai.



TOTAL NONSENSE  SERIES :

Yeh aankhen hai ya neeli jheel?
Yeh aankhen hai ya neeli jheel?
So? What's the big deal?

Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahay hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahay hain......
Bilkul jaise kal chamak rahay thee...(wah wah)
 

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ....
ke kyon kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai??



DOOR SE DEKHA SERIES:

Dhoor se dekha to kuchh dikha nahi...
Dhoor se dekhaaa... to kuchh dikha nahi...
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi

Dhoor se dekha to Patthhar dikhta tha...
Dhoor se dekha... to Patthharr dikhtaa thaa...
Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa.

Dhoor se dekha to paani baras raha tha
Dhoor se dekha to paani baras raha tha
Paas gaya... to bheeg gaya.

Dhoor se dekha to sher tha
Dhoor se dekha to sher tha
Iss liye paas gaya hi nahi.



AD SERIES  :

Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan

jise dil diya woh dilli chali gayi
jise pyar kiya woh italy chali gayi
dil ne kaha khud kushi(suicide) kar le zalim
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi

kaaash ke tere chehre par Chickenpox ke daag hote.....
kaaash ke tere chehre par chickenpox ke daag hote.....
chand tho tu hai hi ..sitaare bhee saaath hote !!!



ladka bola :

kash ein hasinao ke baap mar jate,
bahana gam ka hota, hum inke ghar tho jaate.

Ladki boli:

Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.

Ladki boli:

Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.

Ladka bola :

Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.



Before Marriage

takdeer hai magar kismat nahi khulti
taj mehal banana chahaata hoon
lekin mumtaz nahi milti

After Marriage

takdeer hai magar kismat nahi khulti
tajmehal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi marti


 Oman Nadeem's Page. New Awake Work Station
 Main          Top        About us
 
1