laalachee
Inspiration: One of our professer's greed for taking extra classes
mujhae mil gayaa aek paisaa
mainae poochaa yae kiskaa?
ek paththar nae cillaayaa
maeraa hai yae maeraa hai |
daekh kae yae mai cakit huaa
boel sakaegee paththar bhee
paisaa kailiae pal bhar mae
dhan kee taakat naadir hai!
usae daekae mai oe paisaa
aagae baDhaa fir aangan mae
raastae mae mai nae daekhaa
sau roopayyaa dhartee pae
usae daekh kae mujh mae bhee
laalac tab jaagRt hoekae rahaa
lipaTliyaa usae laalac mae
itanae mae koeee aakae kahaa
daekhaa kyaa sau roopayyaa
khoeyaataa mai kahee yahaa
'daekhaa nahee' mai nae boelaa
DooDhtae gaya oe baecaaraa
khuS hoekae rahaa mai ghar jaakae
loek kee neeti laalac hai
aadmee kaa yae lakshaN hai
aakhir sac toe yae hee hai
hai sab kaa gur daev roopayyaa!!
Jul 12, 1995
Calcutta
[HOME]
[Index]
This page hosted by
Get your own Free Homepage